Social Icons

Pages

Sunday 8 July 2012

zameen ki talaash kar



Rehne de aasmaan, zameen ki talaash kar
Sab kuchh yahin hai, kahin aur na talaash kar
Har aarzoo puri ho, to jeene ka kya mazaa
Jeene ke liye bas ek khubsurat wajah ki talash kar


Use kehna ke palko pe na taane khwaab ki chaadar
samundar ke kinare ghar bana ke kuch nahi milta
mujhe aksar sitaron se yahi awaaz aati hai
kisi ke ishq mein neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jigar ho jayega chalni ye aankhe khoon royengi
yahaan be faiz logon se nibha ke kuch nahi milta


Aaj hai yeh baat mere khwaabon mein
kyoun nahi hum inn kuch kitaabon mein
kya hai jo kuch mein kuch alag hai
kuch to hoga jo hum me alag hai
Kyoun koi khaas yahaan, kyoun koi aam hai
kyoun naa hamaara kuch khaas mein naam hai
kisi ne kaise uncha makaam paya hai
kuch to hum me bhi hoga jo saamne nahi aaya hai
Kabhi to hum bhi honge unn kitaabon mein
yeh baat sach hogi naa hogi sirf khwaabon mein

No comments:

Post a Comment